Tuesday 21 June 2016

Bason ki Barfi-Sweet Dish Recipes



Ingredients:

Beson : 4 cups
Khoya : 200 gram kaddo kash kar lain
Ghee : 5 tbsp
Milk : 4 tbsp
Hari ellaichi : 11 aadad
Kajo : 12 aadad
Chocolate syrup : decoration k liye ( ager na ho to no problems)
Sugar : to taste

METHOD:

Degchi mai milk or ghee dal kar 2 mint tak darmiyani anch per pakain.
Ab is mai beson dal kar achi tarha pakain.
Musalsal chamcha chalate rahe take ghotliya na bane.
Ab is mixture ko bowl mai nikale
Ab degchi mai 2 tbsp oil dobara dal dain. or ab is beson k mixture ko is mai dal dain.
10 mint tak is beson k mixture ko halki anch per pakain.
Is doran chammach ko chalate rahe.
Jab khusbo aane lage to is mai khoya dal dain.
5 mint tak pakain.
Jab khoya beson mai bilkul miljay to mixture ko fram pe se uthar lain.
Ab karhai mai  1 cup pani dalain .
Jb pani boil hone lage to is mai sugar or ellaichi dal dain.
 Jab sugar hal hojay or syrup ready hojay to is mai beson wala mixture dal dain.
5 mint tak pakain.
Phir kisi tray mai oil laga lain.
Ab is tray mai beson k mixture ko dal dain.
Ab spoon ki madad se tray mai mixture ko pehlain. khoshis karain k is ki sata humwar rahe.
Take burfi k tukry dekhne mai aik jse rahe.
Phir kajo se decoration karain.
Or medium size mai pieces kar lain.
Chahain to chocolate syrup se decorate karain .
Beson ki burfi tayar hai .ENJOY.....

No comments:

Post a Comment